Irregular Marriage in Islam: Legitimate Children & Spousal Rights Explained

*Fasid Nikah vs Batil Nikah - Asal Farq Kya Hai?*
Bohat log samajhte hain Fasid or Batil ek hi cheez hai.
- Aisa nahi hai.
- Dono me zameen asman ka farq hai.
- Or sab se bara farq aulad or warasat par parta hai.
Chalo is ko bilkul simple zuban me samajhte hain.
*Fasid Nikah Kya Hai?*
- Fasid Nikah matlab Irregular Marriage.
- Nikah hua to hai.
- Ijab o Qabool bhi hua hai.
- Bas koi ek shart poori nahi hui.
- Maslan gawah nahi thay.
- Maslan aurat iddat me thi.
- Maslan 5th biwi se nikah kar liya.
- Ye aib aarzi hai.
- Ise door kiya ja sakta hai.
- Aib door hote hi nikah sahi ban jata hai.
*Batil Nikah Kya Hai?*
- Batil Nikah matlab Void Marriage.
- Ye nikah shuru se hi nahi hai.
- Is ko theek nahi kiya ja sakta.
- Maslan behan bhai ka nikah.
- Maslan maa bete ka nikah.
- Maslan doodh shareek behan bhai ka nikah.
- Ye hamesha batil hi rahe ga.
- Chahe dono razi bhi hon.
- Chahe gawah bhi hon.
*Fasid Nikah Me Miyan Biwi Ki Zimmedariyan*
- Fasid me bilkul khamoshi nahi hoti.
- Kuch zimmedariyan paida hoti hain.
- Batil me koi zimmedari nahi hoti.
- Fasid me nikah ka kuch asar zaroor hota hai.
*Sab Se Bara Farq - Aulad Ka Status*
- *Batil Nikah Me Aulad:*
- Bachay najayez samjhe jate hain.
- Nasab bap se sabit nahi hota.
- Bachon ka bap ki taraf se koi rishta qanooni tor par nahi banta.
- *Fasid Nikah Me Aulad:*
- Bachay bilkul legal hote hain.
- Bachay halal hote hain.
- Nasab sabit hota hai.
- Bachay apne maa bap ke bachay kehlate hain.
- Yehi sab se bara farq hai jo log bhool jate hain.
*Warasat Ka Farq*
- *Batil Me Warasat:*
- Bachon ko bap ki warasat me hissa nahi milta.
- Miyan biwi ko ek doosre ki warasat me hissa nahi milta.
- Kyun ke nikah tha hi nahi.
- *Fasid Me Warasat:*
- Bachay warasat claim kar sakte hain.
- Bachon ko maa bap dono ki taraf se hissa mil sakta hai.
- Kyun ke nasab sabit hai.
- Is liye warasat ka haq banta hai.
*Mehr Ka Farq*
- *Batil Me:*
- Mehr nahi milta.
- Nan Nafqa nahi milta.
- Koi dawa nahi ban sakta.
- *Fasid Me:*
- Dakhool se pehle mehr nahi banta.
- Dakhool ke baad mehr milta hai.
- Mehr-e-Misl ya Mehr-e-Musamma mil sakta hai.
- Aurat ka haq banta hai.
*Iddat Ka Farq*
- *Batil Me:*
- Iddat nahi hoti.
- Kyun ke nikah hi nahi tha.
- *Fasid Me:*
- Dakhool se pehle iddat nahi hoti.
- Dakhool ke baad alahdagi par iddat lazim hoti hai.
- Is ka maqsad nasab ko clear rakhna hai.
- Ta ke pata chale bacha kis ka hai.
*Ek Nazar Me - 5 Farq*
- *1. Nikah Ki Hasiyat:*
- Batil: Shuru se khatam.
- Fasid: Kharabi hai, theek ho sakta hai.
- *2. Aulad:*
- Batil: Najayez.
- Fasid: Legal, Halal.
- *3. Warasat:*
- Batil: Bachon ko hissa nahi.
- Fasid: Bachon ko poora hissa.
- *4. Mehr:*
- Batil: Zero.
- Fasid: Dakhool ke baad milta hai.
- *5. Iddat:*
- Batil: Nahi.
- Fasid: Dakhool ke baad lazim.
*Aam Log Kya Ghalti Karte Hain?*
- Log Fasid ko bhi Batil samajh lete hain.
- Kehte hain bachay bhi najayez honge.
- Aisa nahi hai.
- Fasid me bachay pori tarah legal hote hain.
- Or warasat ke haqdar bhi hote hain.
*Aakhri Baat*
- Batil ka matlab hai nikah hua hi nahi.
- Fasid ka matlab hai nikah hua hai, bas kami reh gayi.
- Kami door karo, nikah sahi.
- Is liye Fasid me bachon ke huqooq khatam nahi hote.
*Adalat.pk | 0317-0730531*
Watch Video
Tags
Videos
Related videos
Irregular Marriage in Islam: Legitimate Children & Spousal Rights Explained
Fasid / Irregular Marriage? Can it Become Regular?
Effects of Void Marriage | No Inheritance, Illegitimate Children
Need legal advice?
Speak to our legal experts for practical guidance on your case.
Get a Free Consultation












